| Giriaj dharan mein to teri sharan; Giriraj dharan mein to teri sharan sabka dukh door karne wale, sabka kasht apni ungali par uthaney wale; saari duniya ko chod meine teri sharan grahan ki hai Shiv nath prabhu mein to teri sharan; bholey nath prabhu mein to teri sharan Jo bhole bhandari daya ke saager hain; unka naam letey hue unki sharan grahan karna aur kehna Hey dayanidhaan hamari aankhon mein aansoo bharey hue hon, hriday peeda se dukhi ho, to apni peeda kisko kahengey ja kar tumhi to ho jiska darr kabhi band nahin hota jiskey darwaze sada khule rehtey hain to daya kartey hue hamari peeda ko harna, hamare kashton ko harna hum tumhari sharan hain Dayanath prabhu hum to teri sharan, Bholeynath prabhu hum to teri sharan Guruvar hamare hum to teri sharan, bas ab to teri sharan! |
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home